ye gham rahe na rahe gham-nigari rah jae
ye ġham rahe na rahe ġham-nigārī rah jaa.e
hamāre baa'd bhī hālat hamārī rah jaa.e
ye phuul jhaḌne se bach jaa.eñ munjamid ho kar
shajar pe yūñhī agar barf-bārī rah jaa.e
ḳhavās aur bhī ma.alūm ho sakeñ shāyad
hamārī ḳhaak pe tahqīq jaarī rah jaa.e
mirī zamīn ke mausam badalte jaate haiñ
magar ḳhudā kare ḳhushbū tumhārī rah jaa.e
vo din na aa.e ki chhāle hī gintā rah jā.ūñ
vo shab na aa.e ki anjum-shumārī rah jaa.e
qadam na hoñ bhī to mahv-e-qiyām rah jā.ūñ
jabīñ na ho bhī to sajda-guzārī rah jaa.e
shuā.eñ shām-o-sahar phūTtī raheñ 'shāhid'
hamāre dil kī yūñhī tāb-kārī rah jaa.e
ye gham rahe na rahe gham-nigari rah jae
hamare ba'd bhi haalat hamari rah jae
ye phul jhaDne se bach jaen munjamid ho kar
shajar pe yunhi agar barf-bari rah jae
KHawas aur bhi malum ho saken shayad
hamari KHak pe tahqiq jari rah jae
meri zamin ke mausam badalte jate hain
magar KHuda kare KHushbu tumhaari rah jae
wo din na aae ki chhaale hi ginta rah jaun
wo shab na aae ki anjum-shumari rah jae
qadam na hon bhi to mahw-e-qiyam rah jaun
jabin na ho bhi to sajda-guzari rah jae
shuaen sham-o-sahar phuTti rahen 'shahid'
hamare dil ki yunhi tab-kari rah jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.