ye ghar ke bhed hain kahun kaise zaban se
ye ghar ke bhed haiñ kahūñ kaise zabān se
kyā dukh mile haiñ mujh ko mere bhā.ī-jān se
cafe ke ek kone meñ masrūf guftugū
maġhmūm be-hayāt badan be-zabān se
ye din jo aaj biit gayā phir na aa.egā
ye tiir bhī nikal gayā qaus-e-kamān se
achchhe bashar haiñ jin ko nahīñ DhūñDne kī dhun
achchhā ḳhudā hai duur hai vābastgān se
ulTe kuñ.eñ ke qutr meñ laTkā diye ga.e
utre the do farishte kabhī āsmān se
ye ghar ke bhed hain kahun kaise zaban se
kya dukh mile hain mujh ko mere bhai-jaan se
cafe ke ek kone mein masruf guftugu
maghmum be-hayat badan be-zaban se
ye din jo aaj bit gaya phir na aaega
ye tir bhi nikal gaya qaus-e-kaman se
achchhe bashar hain jin ko nahin DhunDne ki dhun
achchha KHuda hai dur hai wabastgan se
ulTe kunen ke qutr mein laTka diye gae
utre the do farishte kabhi aasman se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.