ye gul bhi zinat-e-aghosh-e-dariya-e-qaza nikle
ye gul bhī zīnat-e-āġhosh-e-dariyā-e-qazā nikle
jinheñ ham bā-vafā samjhe the vo bhī bevafā nikle
natīja justujū-e-shauq kā kyā jaane kyā nikle
pas-e-parda ye mumkin hai vahī rañgīñ-adā nikle
karishma hai ye saarā ishq kā hī varna kab mumkin
lahū ke qatre qatre se anal-haq kī sadā nikle
matā-e-zindagī ārām-e-jāñ sabr-o-qarār-e-dil
ḳhudā kī shaan hai ham un ko kyā samjhe vo kyā nikle
hue majrūh barg-e-gul inhīñ ḳhāroñ se gulshan ke
chaman ke pāsbāñ hī bāni-e-jaur-o-jafā nikle
ma.āz-allāh ilzām apnī barbādī kā ġhairoñ par
Dubone vaale kashtī ke jab apne nāḳhudā nikle
karūñ kis kā gila kahte hue bhī sharm aatī hai
raqīb afsos apne hī purāne āshnā nikle
hamāre baad vo aa.e ayādat ko to kyā aa.e
kisī ke is tarah nikle agar armāñ to kyā nikle
bahut mushkil hai 'aish' is daur meñ nikle koī hasrat
ye kyā kam hai koī dāman agar apnā bachā nikle
ye gul bhi zinat-e-aghosh-e-dariya-e-qaza nikle
jinhen hum ba-wafa samjhe the wo bhi bewafa nikle
natija justuju-e-shauq ka kya jaane kya nikle
pas-e-parda ye mumkin hai wahi rangin-ada nikle
karishma hai ye sara ishq ka hi warna kab mumkin
lahu ke qatre qatre se anal-haq ki sada nikle
mata-e-zindagi aaram-e-jaan sabr-o-qarar-e-dil
KHuda ki shan hai hum un ko kya samjhe wo kya nikle
hue majruh barg-e-gul inhin KHaron se gulshan ke
chaman ke pasban hi bani-e-jaur-o-jafa nikle
maaz-allah ilzam apni barbaadi ka ghairon par
Dubone wale kashti ke jab apne naKHuda nikle
karun kis ka gila kahte hue bhi sharm aati hai
raqib afsos apne hi purane aashna nikle
hamare baad wo aae ayaadat ko to kya aae
kisi ke is tarah nikle agar arman to kya nikle
bahut mushkil hai 'aish' is daur mein nikle koi hasrat
ye kya kam hai koi daman agar apna bacha nikle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.