ye gul jis KHak se laya gaya hai
ye gul jis ḳhaak se laayā gayā hai
use aflāk se laayā gayā hai
chaman pe rañg aatā hī nahīñ thā
tirī poshāk se laayā gayā hai
ye dil jis se maiñ sharminda bahut huuñ
usī bebāk se laayā gayā hai
ujālā hai jo ye kaun-o-makāñ meñ
hamārī ḳhaak se laayā gayā hai
ye jo kuchh bhī hai aayā hai kahāñ se
dil-e-sad-chāk se laayā gayā hai
yahāñ kitnoñ ne dekhā hai jo tūfāñ
ḳhas-o-ḳhāshāk se laayā gayā hai
ye gul jis KHak se laya gaya hai
use aflak se laya gaya hai
chaman pe rang aata hi nahin tha
teri poshak se laya gaya hai
ye dil jis se main sharminda bahut hun
usi bebak se laya gaya hai
ujala hai jo ye kaun-o-makan mein
hamari KHak se laya gaya hai
ye jo kuchh bhi hai aaya hai kahan se
dil-e-sad-chaak se laya gaya hai
yahan kitnon ne dekha hai jo tufan
KHas-o-KHashak se laya gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.