ye hadisa hai magar us taraf hua bhi nahin
ye hādisa hai magar us taraf huā bhī nahīñ
judā huā bhī to us se jo jāntā bhī nahīñ
kabhī to soch tujhe kitnā sochtā hogā
vo ġham-zada jo tirī samt dekhtā bhī nahīñ
ye dil ne ruuTh ke kin mushkiloñ meñ Daal diyā
usī ko chāhnā aur us se bolnā bhī nahīñ
hameñ to niiñd meñ sapnoñ kī bhī manāhī hai
darīche band bhī rakhne haiñ jhāñknā bhī nahīñ
nigah kā ghar se nikalnā thā jurm pahle hī
aur ab ye hukm huā hai ki sochnā bhī nahīñ
ye hadisa hai magar us taraf hua bhi nahin
juda hua bhi to us se jo jaanta bhi nahin
kabhi to soch tujhe kitna sochta hoga
wo gham-zada jo teri samt dekhta bhi nahin
ye dil ne ruTh ke kin mushkilon mein Dal diya
usi ko chahna aur us se bolna bhi nahin
hamein to nind mein sapnon ki bhi manahi hai
dariche band bhi rakhne hain jhankna bhi nahin
nigah ka ghar se nikalna tha jurm pahle hi
aur ab ye hukm hua hai ki sochna bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.