ye hadisa mujhe hairan kar gaya sar-e-sham
ye hādisa mujhe hairān kar gayā sar-e-shām
jo zaḳhm sub.h milā thā vo bhar gayā sar-e-shām
mile the ham kahīñ kār-e-jahāñ ke mele meñ
use bhī jaldī thī aur maiñ bhī ghar gayā sar-e-shām
ye aaj kis ko achānak mirā ḳhayāl aayā
charāġh raah meñ ye kaun dhar gayā sar-e-shām
ḳhayāl-e-yār kī fursat bhī ab kise hai nasīb
ye phuul sub.h khilā aur bikhar gayā sar-e-shām
tamām din kī thakan se maiñ bujh rahā thā magar
kisī kī yaad kā chehra nikhar gayā sar-e-shām
shab-e-firāq kā ahvāl yaad aa hī gayā
phir ek tiir sā dil meñ utar gayā sar-e-shām
ye sub.h-o-shām mire is qadar hī mere haiñ
ki jī uThā huuñ sahar-dam to mar gayā sar-e-shām
ye hadisa mujhe hairan kar gaya sar-e-sham
jo zaKHm subh mila tha wo bhar gaya sar-e-sham
mile the hum kahin kar-e-jahan ke mele mein
use bhi jaldi thi aur main bhi ghar gaya sar-e-sham
ye aaj kis ko achanak mera KHayal aaya
charagh rah mein ye kaun dhar gaya sar-e-sham
KHayal-e-yar ki fursat bhi ab kise hai nasib
ye phul subh khila aur bikhar gaya sar-e-sham
tamam din ki thakan se main bujh raha tha magar
kisi ki yaad ka chehra nikhar gaya sar-e-sham
shab-e-firaq ka ahwal yaad aa hi gaya
phir ek tir sa dil mein utar gaya sar-e-sham
ye subh-o-sham mere is qadar hi mere hain
ki ji uTha hun sahar-dam to mar gaya sar-e-sham
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.