ye hadse mere fan ko nikhaar bhi denge
ye hādse mire fan ko nikhār bhī deñge
hayāt ko nafas-e-sho.ala-bār bhī deñge
ye uñgliyāñ ki jo raqsāñ haiñ sāz-e-ishrat par
ham un se kākul-e-gītī sañvār bhī deñge
ḳhizāñ-rasīda ye ġhunche ye ḳhār-o-ḳhas yā sumūm
chaman ko muzda-e-fasl-e-bahār bhī deñge
payām-e-sub.h-e-masarrat kahāñ muqaddar meñ
kisī tarah jo shab-e-ġham guzār bhī deñge
kuchh aur socho mire haq meñ dushmanoñ ki mujhe
matā-e-ġham to mire ġham-gusār bhī deñge
kise ḳhabar thī ki ālām-e-zindagī 'maikash'
ḳhumār-e-bāda-e-ishrat utaar bhī deñge
ye hadse mere fan ko nikhaar bhi denge
hayat ko nafas-e-shoala-bar bhi denge
ye ungliyan ki jo raqsan hain saz-e-ishrat par
hum un se kakul-e-giti sanwar bhi denge
KHizan-rasida ye ghunche ye KHar-o-KHas ya sumum
chaman ko muzda-e-fasl-e-bahaar bhi denge
payam-e-subh-e-masarrat kahan muqaddar mein
kisi tarah jo shab-e-gham guzar bhi denge
kuchh aur socho mere haq mein dushmanon ki mujhe
mata-e-gham to mere gham-gusar bhi denge
kise KHabar thi ki aalam-e-zindagi 'maikash'
KHumar-e-baada-e-ishrat utar bhi denge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.