ye hath apna mere hath mein thama dije
ye haath apnā mire haath meñ thamā diije
thakā huā huuñ zarā dil ko hausla diije
bas ab mile haiñ to kiije na ās-pās kā ḳhauf
jo sañg-e-rāh mile paañv se haTā diije
ye aur daur hai aur sab yahāñ mujhī se haiñ
vo kohkan kī hikāyāt sab bhulā diije
nahīñ hai aap ko fursat agar tavajjoh kī
to maiñ bhī lauTtā huuñ ghar ko aa gayā diije
mirā vajūd bhī hai aap kī jabīn kā daaġh
use bhī harf-e-ġhalat kī tarah miTā diije
kal aap ne jo chhuḌāyā to chhuT sakegā na haath
jo uljhaneñ haiñ mujhe aaj hī batā diije
ye khel khelā hai jab pyaar kā to phir ai dil
ab apne-āp ko bhī daav par lagā diije
tamām-umr bhaTaktī rahī nazar ki kahīñ
mile koī jise nazrāna-e-vafā diije
mirī to jumbish-e-lab bhī hai nā-ḳhushī kā sabab
ab aa.ī hai koī tarz-e-bayāñ sikhā diije
vafā hai jurm to iqrār-e-jurm hai mujh ko
ye maiñ huuñ ye mirā dil lījiye sazā diije
vo sahme sahme judā.ī ke muztarib lamhe
mirī nigāh meñ ik baar phir basā diije
gayā nahīñ hai abhī daur aap kā 'anjum'
jo dil udaas ho phir se use sadā diije
ye hath apna mere hath mein thama dije
thaka hua hun zara dil ko hausla dije
bas ab mile hain to kije na aas-pas ka KHauf
jo sang-e-rah mile panw se haTa dije
ye aur daur hai aur sab yahan mujhi se hain
wo kohkan ki hikayat sab bhula dije
nahin hai aap ko fursat agar tawajjoh ki
to main bhi lauTta hun ghar ko aa gaya dije
mera wajud bhi hai aap ki jabin ka dagh
use bhi harf-e-ghalat ki tarah miTa dije
kal aap ne jo chhuDaya to chhuT sakega na hath
jo uljhanen hain mujhe aaj hi bata dije
ye khel khela hai jab pyar ka to phir ai dil
ab apne-ap ko bhi daw par laga dije
tamam-umr bhaTakti rahi nazar ki kahin
mile koi jise nazrana-e-wafa dije
meri to jumbish-e-lab bhi hai na-KHushi ka sabab
ab aai hai koi tarz-e-bayan sikha dije
wafa hai jurm to iqrar-e-jurm hai mujh ko
ye main hun ye mera dil lijiye saza dije
wo sahme sahme judai ke muztarib lamhe
meri nigah mein ek bar phir basa dije
gaya nahin hai abhi daur aap ka 'anjum'
jo dil udas ho phir se use sada dije
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.