ye hai duniya yahan mushkil se jiya jata hai
ye hai duniyā yahāñ mushkil se jiyā jaatā hai
bhaa.ī dhokā yahāñ tohfe meñ diyā jaatā hai
ġhair mumkin hai ke kirdār ko parkhe koī
yaañ to bas husn se nīlām kiyā jaatā hai
haq ko ai 'auj' dabāte haiñ sitamgār yahāñ
aur sitamgār ko in.aam diyā jaatā hai
ye hai duniya yahan mushkil se jiya jata hai
bhai dhoka yahan tohfe mein diya jata hai
ghair mumkin hai ke kirdar ko parkhe koi
yan to bas husn se nilam kiya jata hai
haq ko ai 'auj' dabaate hain sitamgar yahan
aur sitamgar ko inam diya jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.