ye hamari zamin wo tumhaari zamin
ye hamārī zamīñ vo tumhārī zamīñ
sarhadeñ khā ga.ī haiñ ye saarī zamīñ
terī ḳhātir hī kaTvā.e sar be-shumār
qīmat aisī chukā dī hai bhārī zamīñ
aañkh uThī bhī na thī terī jānib abhī
zarb sīnoñ pe lagvā dī kaarī zamīñ
ġhair koī qadam rakh na paa.e yahāñ
naddiyāñ ḳhuun kī kar diiñ jaarī zamīñ
āsmāñ kā gumāñ sab ko hone lagā
chāñd tāroñ se ham ne sañvārī zamīñ
roz ugtā hai sūraj isī kokh se
aur har shaam roī kuñvārī zamīñ
ye hamari zamin wo tumhaari zamin
sarhaden kha gai hain ye sari zamin
teri KHatir hi kaTwae sar be-shumar
qimat aisi chuka di hai bhaari zamin
aankh uThi bhi na thi teri jaanib abhi
zarb sinon pe lagwa di kari zamin
ghair koi qadam rakh na pae yahan
naddiyan KHun ki kar din jari zamin
aasman ka guman sab ko hone laga
chand taron se hum ne sanwari zamin
roz ugta hai suraj isi kokh se
aur har sham roi kunwari zamin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.