ye haqiqat hai ki har rahguzar se pahle
ye haqīqat hai ki har rāhguzar se pahle
manzileñ DhūñDhtī aa.ī haiñ safar se pahle
apnā anjām bhī sochā hai kabhī māh-jabīñ
phuul jhaḌ jā.eñge shāḳhoñ pe samar se pahle
kyā ḳhabar thī ki tire ba.ad ye hālat hogī
shaam katrā.egī aane ko sahar se pahle
apne qadmoñ se ye aflāk hue haiñ raushan
ham hī pahuñche haiñ vahāñ shams-o-qamar se pahle
kyā patā thā ki tirī yaad meñ rote rote
dil kā ho jā.egā sab kaam jigar se pahle
un ko ā.īna uThāne meñ bhī aatā hai hijāb
jānte kyā the vo ādāb-e-nazar se pahle
dil hai ummīdoñ kā ik shahr-e-ḳhamoshāñ ai dost
ziist vīrān thī yādoñ ke nagar se pahle
ye haqiqat hai ki har rahguzar se pahle
manzilen DhunDhti aai hain safar se pahle
apna anjam bhi socha hai kabhi mah-jabin
phul jhaD jaenge shaKHon pe samar se pahle
kya KHabar thi ki tere baad ye haalat hogi
sham katraegi aane ko sahar se pahle
apne qadmon se ye aflak hue hain raushan
hum hi pahunche hain wahan shams-o-qamar se pahle
kya pata tha ki teri yaad mein rote rote
dil ka ho jaega sab kaam jigar se pahle
un ko aaina uThane mein bhi aata hai hijab
jaante kya the wo aadab-e-nazar se pahle
dil hai ummidon ka ek shahr-e-KHamoshan ai dost
zist viran thi yaadon ke nagar se pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.