ye haqiqat hai ki wo shaKHs wafadar na tha
ye haqiqat hai ki wo shaKHs wafadar na tha
Syed Tanvir Raza Abidi
MORE BYSyed Tanvir Raza Abidi
ye haqīqat hai ki vo shaḳhs vafādār na thā
haañ magar maiñ bhī vafā karne ko tayyār na thā
arsa-e-hijr baḌā thā pe ye dushvār na thā
dil to ḳhud hī mirā āmāda-e-dīdār na thā
shahr-e-behis meñ asīrān-e-havas sab the magar
ai mohabbat tirā koī bhī giraftār na thā
merā girya mire aañsū mirī vahshat ke sivā
hijr kī raat koī merā madad-gār na thā
jaane kyūñ-kar use lamhoñ meñ kiyā maiñ ne ubuur
rāsta yuuñ to mohabbat tirā hamvār na thā
maiñ ne kal raat bahut haq kī taraf-dārī kī
sub.h dekhā to koī merā taraf-dār na thā
ye ġhazal saarī hai 'tanvīr' mire ḳhvāb kī den
jab kahī hai ye ġhazal maiñ ne maiñ bedār na thā
ye haqiqat hai ki wo shaKHs wafadar na tha
han magar main bhi wafa karne ko tayyar na tha
arsa-e-hijr baDa tha pe ye dushwar na tha
dil to KHud hi mera aamada-e-didar na tha
shahr-e-behis mein asiran-e-hawas sab the magar
ai mohabbat tera koi bhi giraftar na tha
mera girya mere aansu meri wahshat ke siwa
hijr ki raat koi mera madad-gar na tha
jaane kyun-kar use lamhon mein kiya main ne ubur
rasta yun to mohabbat tera hamwar na tha
main ne kal raat bahut haq ki taraf-dari ki
subh dekha to koi mera taraf-dar na tha
ye ghazal sari hai 'tanwir' mere KHwab ki den
jab kahi hai ye ghazal main ne main bedar na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.