ye haqiqat ki KHwab hai koi
ye haqīqat ki ḳhvāb hai koī
sāmne be-naqāb hai koī
hai tasavvur meñ husn-e-doshīza
yā purānī sharāb hai koī
zindagī qaid-e-ba-mashaqqat hai
is se baḌh kar azaab hai koī
bandagī meñ tirī kifāyat kyoñ
rahmatoñ kā hisāb hai koī
jis ko dekho 'raqīb' paḌhtā hai
jaise chehra kitāb hai koī
ye haqiqat ki KHwab hai koi
samne be-naqab hai koi
hai tasawwur mein husn-e-doshiza
ya purani sharab hai koi
zindagi qaid-e-ba-mashaqqat hai
is se baDh kar azab hai koi
bandagi mein teri kifayat kyon
rahmaton ka hisab hai koi
jis ko dekho 'raqib' paDhta hai
jaise chehra kitab hai koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.