ye harf harf ke ruKH par KHulus ka ghaza
ye harf harf ke ruḳh par ḳhulūs kā ġhāza
bikhar na jaa.e kahīñ mere dil kā shīrāza
qadam-qadam pe jo miltā hai ik ġham-e-tāza
hamārī dīda-varī kā hai ye bhī ḳhamyāza
ḳhush-āmdīd likhā hai tirī jabīñ pe magar
mire liye hai abhī band dil kā darvāza
kabhī ye vaqf-e-karam hai kabhī taġhāful-dost
tirī nazar se huā tere dil kā andāza
ye jabr-e-shauq samajhte haiñ ham use mā'sūm
falak-maqām hai jis ke sitam kā āvāza
jo ġham nihāñ hai mire parda-e-tabassum meñ
tumhārā kaam nahīñ aise ġham kā andāza
'urūj' merī taraf se hai nazr-e-ahl-e-nazar
vo ik ġhazal ki mazāmīn jis ke haiñ taaza
ye harf harf ke ruKH par KHulus ka ghaza
bikhar na jae kahin mere dil ka shiraaza
qadam-qadam pe jo milta hai ek gham-e-taza
hamari dida-wari ka hai ye bhi KHamyaza
KHush-amdid likha hai teri jabin pe magar
mere liye hai abhi band dil ka darwaza
kabhi ye waqf-e-karam hai kabhi taghaful-dost
teri nazar se hua tere dil ka andaza
ye jabr-e-shauq samajhte hain hum use ma'sum
falak-maqam hai jis ke sitam ka aawaza
jo gham nihan hai mere parda-e-tabassum mein
tumhaara kaam nahin aise gham ka andaza
'uruj' meri taraf se hai nazr-e-ahl-e-nazar
wo ek ghazal ki mazamin jis ke hain taza
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.