ye hasti-e-dil us pe ye tufan-e-tamanna
ye hastī-e-dil us pe ye tūfān-e-tamannā
allāh re ai josh-e-farāvān-e-tamannā
duniyā meñ huuñ maiñ soḳhta-sāmān-e-tamannā
dil hai mirā ik ḳhāna-e-vīrān-e-tamannā
barbād huā aaj kisī kā dil-e-vahshī
hai ḳhāk-basar kūcha-e-vīrān-e-tamannā
juz ḳhvāb nahīñ sub.h-e-umīd-e-dil-e-māyūs
juz vahm nahīñ mohr-e-daraḳhshān-e-tamannā
ik hasrat-e-mahbūs hai sarnāma-e-ulfat
dard-e-dil-e-vā-rafta hai unvān-e-tamannā
hasrat bhī hai naumīdī bhī hai yaas bhī ġham bhī
dil-doz haiñ ajzā-e-pareshān-e-tamannā
yā laash ko logoñ ne lapeTā hai kafan meñ
yā ḳhvāb meñ huuñ maiñ tah-e-dāmān-e-tamannā
'afsar' mirī vahshat kā taqāzā to yahī hai
hogā na rafū chāk-e-garebān-e-tamannā
ye hasti-e-dil us pe ye tufan-e-tamanna
allah re ai josh-e-farawan-e-tamanna
duniya mein hun main soKHta-saman-e-tamanna
dil hai mera ek KHana-e-viran-e-tamanna
barbaad hua aaj kisi ka dil-e-wahshi
hai KHak-basar kucha-e-viran-e-tamanna
juz KHwab nahin subh-e-umid-e-dil-e-mayus
juz wahm nahin mohr-e-daraKHshan-e-tamanna
ek hasrat-e-mahbus hai sarnama-e-ulfat
dard-e-dil-e-wa-rafta hai unwan-e-tamanna
hasrat bhi hai naumidi bhi hai yas bhi gham bhi
dil-doz hain ajza-e-pareshan-e-tamanna
ya lash ko logon ne lapeTa hai kafan mein
ya KHwab mein hun main tah-e-daman-e-tamanna
'afsar' meri wahshat ka taqaza to yahi hai
hoga na rafu chaak-e-gareban-e-tamanna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.