ye hasti mustaqil aazar bhi hai
ye hastī mustaqil āzār bhī hai
magar ham ko isī se pyaar bhī hai
guzarnā rahguzār-e-zindagī se
bahut āsāñ bahut dushvār bhī hai
kabhī ye sar hai vaj.h-e-sarfarāzī
kabhī dosh-e-anā par baar bhī hai
ubhartā TūTtā ye aks merā
mirā dushman bhī merā yaar bhī hai
irāde jis ke haiñ tūfāñ-badāmāñ
usī ke haath meñ patvār bhī hai
hamāre sāmne tum hī nahīñ ho
hamāre sāmne dīvār bhī hai
jamāl-e-fikr hai me.aar 'jauhar'
isī se azmat-e-fankār bhī hai
ye hasti mustaqil aazar bhi hai
magar hum ko isi se pyar bhi hai
guzarna rahguzar-e-zindagi se
bahut aasan bahut dushwar bhi hai
kabhi ye sar hai wajh-e-sarfaraazi
kabhi dosh-e-ana par bar bhi hai
ubharta TuTta ye aks mera
mera dushman bhi mera yar bhi hai
irade jis ke hain tufan-badaman
usi ke hath mein patwar bhi hai
hamare samne tum hi nahin ho
hamare samne diwar bhi hai
jamal-e-fikr hai mear 'jauhar'
isi se azmat-e-fankar bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.