ye hawa ye dhup ye barsat pahle si nahin
ye havā ye dhuup ye barsāt pahle sī nahīñ
din nahīñ pahle se ab ye raat pahle sī nahīñ
aaj kyoñ har aadmī badnām aatā hai nazar
aaj kyoñ har aadmī kī zaat pahle sī nahīñ
kis liye raT haa.e haa.e kī lagī hai har taraf
kyoñ hamāre dil jigar meñ baat pahle sī nahīñ
ab kahāñ vo zahr ke pyāle kahāñ miirā kaho
prem kī baazī meñ kyoñ shah-māt pahle sī nahīñ
un kī chaukhaT ne nahīñ kyoñ aaj pahchānā mujhe
kyā mirī hastī mirī auqāt pahle sī nahīñ
ye hawa ye dhup ye barsat pahle si nahin
din nahin pahle se ab ye raat pahle si nahin
aaj kyon har aadmi badnam aata hai nazar
aaj kyon har aadmi ki zat pahle si nahin
kis liye raT hae hae ki lagi hai har taraf
kyon hamare dil jigar mein baat pahle si nahin
ab kahan wo zahr ke pyale kahan mera kaho
prem ki bazi mein kyon shah-mat pahle si nahin
un ki chaukhaT ne nahin kyon aaj pahchana mujhe
kya meri hasti meri auqat pahle si nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.