ye hi KHush-fahmi tumhaari tumhein le Dubegi
ye hī ḳhush-fahmī tumhārī tumheñ le Dūbegī
jo samajhte ho shab-e-ġham hameñ le Dūbegī
dushmanoñ kī kyā zarūrat ye jo qismat hai nā
ham ke jitnī bhī uḌāneñ bhareñ le Dūbegī
apne ashkoñ kā batātā hī nahīñ maiñ us ko
varna lahroñ kī zabāñ baat meñ le Dūbegī
mauj uThtī hai samundar meñ to is qasd ke saath
jaise sāhil kī sabhī sarhadeñ le Dūbegī
us kī āñkhoñ meñ na dekheñge dobāra 'sāqib'
us kī āñkhoñ kī chamak phir hameñ le Dūbegī
ye hi KHush-fahmi tumhaari tumhein le Dubegi
jo samajhte ho shab-e-gham hamein le Dubegi
dushmanon ki kya zarurat ye jo qismat hai na
hum ke jitni bhi uDanen bharen le Dubegi
apne ashkon ka batata hi nahin main us ko
warna lahron ki zaban baat mein le Dubegi
mauj uThti hai samundar mein to is qasd ke sath
jaise sahil ki sabhi sarhaden le Dubegi
us ki aankhon mein na dekhenge dobara 'saqib'
us ki aankhon ki chamak phir hamein le Dubegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.