ye hijr ka mausam bhi guzar kyon nahin jata
ye hijr kā mausam bhī guzar kyoñ nahīñ jaatā
jaatā huā lagtā hai magar kyoñ nahīñ jaatā
bahtā huuñ to merī koī gahrā.ī bhī hogī
dariyā kī tarah ḳhud meñ utar kyoñ nahīñ jaatā
lāzim hai ki jaage kabhī bachche kī tarah bhī
ye shahr kisī ḳhvāb se Dar kyoñ nahīñ jaatā
malbe se nikal aatā hai aaseb kī mānind
logoñ kī tarah ḳhauf bhī mar kyoñ nahīñ jaatā
is kunj meñ muddat se bahār aa.ī nahīñ hai
ye baaġh mirī aañkh meñ bhar kyoñ nahīñ jaatā
ye bhed bhī khulne na diyā dar-badarī ne
ghar ke liye jaatā huuñ to ghar kyoñ nahīñ jaatā
malbūs se kyoñ minnat-e-yakjā.ī hai 'tābish'
maiñ TuuT chukā huuñ to bikhar kyoñ nahīñ jaatā
ye hijr ka mausam bhi guzar kyon nahin jata
jata hua lagta hai magar kyon nahin jata
bahta hun to meri koi gahrai bhi hogi
dariya ki tarah KHud mein utar kyon nahin jata
lazim hai ki jage kabhi bachche ki tarah bhi
ye shahr kisi KHwab se Dar kyon nahin jata
malbe se nikal aata hai aaseb ki manind
logon ki tarah KHauf bhi mar kyon nahin jata
is kunj mein muddat se bahaar aai nahin hai
ye bagh meri aankh mein bhar kyon nahin jata
ye bhed bhi khulne na diya dar-badari ne
ghar ke liye jata hun to ghar kyon nahin jata
malbus se kyon minnat-e-yakjai hai 'tabish'
main TuT chuka hun to bikhar kyon nahin jata
- Book : Agar Main Sher Na Kahta (Pg. 83)
- Author :Abbas Tabish
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.