ye hijr ka rasta hai Dhalanen nahin hotin
ye hijr kā rasta hai Dhalāneñ nahīñ hotīñ
sahrā meñ charāġhoñ kī dukāneñ nahīñ hotīñ
ḳhushbū kā ye jhoñkā abhī aayā hai udhar se
kis ne kahā sahrā meñ azāneñ nahīñ hotīñ
kyā marte hue log ye insān nahīñ haiñ
kyā hañste hue phūloñ meñ jāneñ nahīñ hotīñ
ab koī ġhazal-chehra dikhā.ī nahīñ detā
ab shahr meñ abrū kī kamāneñ nahīñ hotīñ
in par kisī mausam kā asar kyuuñ nahīñ hotā
rad kyuuñ tirī yādoñ kī uḌāneñ nahīñ hotīñ
ye sher hai chhup kar kabhī hamla nahīñ kartā
maidānī ilāqoñ meñ machāneñ nahīñ hotīñ
kuchh baat thī jo lab nahīñ khulte the hamāre
tum samjhe the gūñgoñ ke zabāneñ nahīñ hotīñ
ye hijr ka rasta hai Dhalanen nahin hotin
sahra mein charaghon ki dukanen nahin hotin
KHushbu ka ye jhonka abhi aaya hai udhar se
kis ne kaha sahra mein azanen nahin hotin
kya marte hue log ye insan nahin hain
kya hanste hue phulon mein jaanen nahin hotin
ab koi ghazal-chehra dikhai nahin deta
ab shahr mein abru ki kamanen nahin hotin
in par kisi mausam ka asar kyun nahin hota
rad kyun teri yaadon ki uDanen nahin hotin
ye sher hai chhup kar kabhi hamla nahin karta
maidani ilaqon mein machanen nahin hotin
kuchh baat thi jo lab nahin khulte the hamare
tum samjhe the gungon ke zabanen nahin hotin
- Book : Sukhan Sarai (Pg. 117)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.