ye hijr ye lamhe furqat ke is taur hamein taDpaen to
ye hijr ye lamhe furqat ke is taur hamein taDpaen to
Sufiya Deepika Kausar
MORE BYSufiya Deepika Kausar
ye hijr ye lamhe furqat ke is taur hameñ taḌpā.eñ to
is aag meñ jalte jalte ham ai yaar kahīñ jal jaa.eñ to
kaisā hai takalluf mahfil meñ aate bhī nahīñ jaate bhī nahīñ
ham aas lagā.e baiThe haiñ parda vo zarā sarkā.eñ to
ummīd-ba-dil rindān-e-talab hāthoñ meñ piyāla thāme haiñ
maiḳhāne meñ un ke mar jaa.eñ vo aañkh se mai barsā.eñ to
ḳhāmosh hai bulbul gulshan meñ hai bād-e-bahārī bhī sākit
jumbish to kareñ lab un ke zarā ḳhalvat se vo kuchh farmā.eñ to
aksar hī tasavvur karte haiñ is raat kā aalam kyā hogā
aahaT na kareñ vo chupke se pahlū meñ mire aa jaa.eñ to
terī hī badaulat to apnī rātoñ kā sukūñ barbād huā
aise meñ tujhe ham jazba-e-dil ghabrā ke agar dafnā.eñ to
kis ko hai ḳhabar is duniyā meñ 'kausar' hai kahāñ jannat hai kahāñ
duniyā ke ye rahbar aa ke zarā ye raaz hameñ samjhā.eñ to
ye hijr ye lamhe furqat ke is taur hamein taDpaen to
is aag mein jalte jalte hum ai yar kahin jal jaen to
kaisa hai takalluf mahfil mein aate bhi nahin jate bhi nahin
hum aas lagae baiThe hain parda wo zara sarkaen to
ummid-ba-dil rindan-e-talab hathon mein piyala thame hain
maiKHane mein un ke mar jaen wo aankh se mai barsaen to
KHamosh hai bulbul gulshan mein hai baad-e-bahaari bhi sakit
jumbish to karen lab un ke zara KHalwat se wo kuchh farmaen to
aksar hi tasawwur karte hain is raat ka aalam kya hoga
aahaT na karen wo chupke se pahlu mein mere aa jaen to
teri hi badaulat to apni raaton ka sukun barbaad hua
aise mein tujhe hum jazba-e-dil ghabra ke agar dafnaen to
kis ko hai KHabar is duniya mein 'kausar' hai kahan jannat hai kahan
duniya ke ye rahbar aa ke zara ye raaz hamein samjhaen to
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.