ye hikmat-e-amali hai koi kina nahin hai
ye hikmat-e-amalī hai koī kiina nahīñ hai
is hijr ke ghaav ko abhī siinā nahīñ hai
ab sāmne bantā hai mirā aks tamāshā
ye harza-sarā.ī pas-e-ā.īna nahīñ hai
kuchh din kī shanāsā.ī shanāsā.ī na samjho
ye ḳhud se ta.alluq mirā derīna nahīñ hai
ahkām yahāñ dil ke hī chalte haiñ kam-o-besh
ye ishq hai is kī koī kābīna nahīñ hai
bante haiñ havāoñ meñ tamanna ke gharauñde
ye vo haiñ makāñ jin meñ koī ziina nahīñ hai
martā to koī shaḳhs nahīñ hijr meñ phir bhī
ye jiinā mire dost koī jiinā nahīñ hai
haiñ darj sabhī dil pe mohabbat ke ḳhasāre
ye gin ke likhe haiñ koī taḳhmīna nahīñ hai
ye hikmat-e-amali hai koi kina nahin hai
is hijr ke ghaw ko abhi sina nahin hai
ab samne banta hai mera aks tamasha
ye harza-sarai pas-e-aina nahin hai
kuchh din ki shanasai shanasai na samjho
ye KHud se talluq mera derina nahin hai
ahkaam yahan dil ke hi chalte hain kam-o-besh
ye ishq hai is ki koi kabina nahin hai
bante hain hawaon mein tamanna ke gharaunde
ye wo hain makan jin mein koi zina nahin hai
marta to koi shaKHs nahin hijr mein phir bhi
ye jina mere dost koi jina nahin hai
hain darj sabhi dil pe mohabbat ke KHasare
ye gin ke likhe hain koi taKHmina nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.