ye himaqat mere idrak pe chhai hui hai
ye himāqat mire idrāk pe chhā.ī huī hai
āñsuoñ se tire tasvīr banā.ī huī hai
'arsh hilne kā sabab pūchhte kyā ho mujh se
ik du'ā halqa-e-tāsīr meñ aa.ī huī hai
chāñd maddham hai diye chup haiñ sahar ruuTh ga.ī
kyā mire ġham meñ giraftār ḳhudā.ī huī hai
tum to bas tark-e-ta'alluq ke liye aa hī ga.e
ab ke is dil ne magar baat baḌhā.ī huī hai
munkashif hone lagā ḳhuun hathelī pe mire
ek laḌkī kī hathelī jo hinā.ī huī hai
itnī vahshat ki havas vajd meñ aane se rahī
ik sadā jānib-e-aflāk se aa.ī huī hai
chhū luuñ hoñToñ se to dariyā ko bhī sahrā kar duuñ
pyaas terī mire hoñToñ pe samā.ī huī hai
shahar-e-vīrān ab ābād huā chāhtā hai
aaj is panchhī kī piñjre se rihā.ī huī hai
bārish-e-ashk meñ bah jā.egā ab shahr kā shahr
aaj 'āfāq' koī chiiz parā.ī huī hai
ye himaqat mere idrak pe chhai hui hai
aansuon se tere taswir banai hui hai
'arsh hilne ka sabab puchhte kya ho mujh se
ek du'a halqa-e-tasir mein aai hui hai
chand maddham hai diye chup hain sahar ruTh gai
kya mere gham mein giraftar KHudai hui hai
tum to bas tark-e-ta'alluq ke liye aa hi gae
ab ke is dil ne magar baat baDhai hui hai
munkashif hone laga KHun hatheli pe mere
ek laDki ki hatheli jo hinai hui hai
itni wahshat ki hawas wajd mein aane se rahi
ek sada jaanib-e-aflak se aai hui hai
chhu lun honTon se to dariya ko bhi sahra kar dun
pyas teri mere honTon pe samai hui hai
shahar-e-viran ab aabaad hua chahta hai
aaj is panchhi ki pinjre se rihai hui hai
barish-e-ashk mein bah jaega ab shahr ka shahr
aaj 'afaq' koi chiz parai hui hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.