ye hirs-o-hawas ke saudai aadab-e-mohabbat kya jaanen
ye hirs-o-havas ke saudā.ī ādāb-e-mohabbat kyā jāneñ
ye ishq ke ma.anī kyā samjheñ ye husn kī qīmat kyā jāneñ
ham chūmte rahte haiñ har dam fitrat kī hasīñ peshānī ko
āzād-manash ham ahl-e-nazar qānūn-o-sharī.at kyā jāneñ
ho ḳhauf-e-jahannam jis meñ nihāñ jannat kī havas ho jis meñ ayaañ
allāh ke sāda-dil bande ham aisī ibādat kyā jāneñ
hoñ phūloñ kī sejeñ jin ke liye kāñToñ kī chubhan kyā samjheñge
jin ke na lagī ho choT kabhī vo dard kī lazzat kyā jāneñ
jo sīm-o-zar meñ tolte haiñ kaunain kī har ik jins-e-girāñ
insān ke dil kī qīmat ko vo sāhab-e-daulat kyā jāneñ
insān jahāñ bhī paate haiñ ham dil se use apnāte haiñ
ye maz.hab-o-millat ke jhagḌe ham ahl-e-mohabbat kyā jāneñ
ye hirs-o-hawas ke saudai aadab-e-mohabbat kya jaanen
ye ishq ke mani kya samjhen ye husn ki qimat kya jaanen
hum chumte rahte hain har dam fitrat ki hasin peshani ko
aazad-manash hum ahl-e-nazar qanun-o-shariat kya jaanen
ho KHauf-e-jahannam jis mein nihan jannat ki hawas ho jis mein ayan
allah ke sada-dil bande hum aisi ibaadat kya jaanen
hon phulon ki sejen jin ke liye kanTon ki chubhan kya samjhenge
jin ke na lagi ho choT kabhi wo dard ki lazzat kya jaanen
jo sim-o-zar mein tolte hain kaunain ki har ek jins-e-giran
insan ke dil ki qimat ko wo sahab-e-daulat kya jaanen
insan jahan bhi pate hain hum dil se use apnate hain
ye mazhab-o-millat ke jhagDe hum ahl-e-mohabbat kya jaanen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.