ye honT tere resham aaise
ye hoñT tire resham aaise
khulte haiñ shagūfe kam aaise
ye baaġh charāġh sī tanhā.ī
ye saath gul o shabnam aaise
mirī dhuup meñ aane se pahle
kabhī dekhe the mausam aaise
kis fasl meñ kab yakjā hoñge
sāmān hue haiñ baham aaise
siine meñ aag jahannam sī
aur jhoñke bāġh-e-iram aaise
ye honT tere resham aaise
khulte hain shagufe kam aaise
ye bagh charagh si tanhai
ye sath gul o shabnam aaise
meri dhup mein aane se pahle
kabhi dekhe the mausam aaise
kis fasl mein kab yakja honge
saman hue hain baham aaise
sine mein aag jahannam si
aur jhonke bagh-e-iram aaise
- Book : Mitti Ki Sundarta Dekho (Pg. 82)
- Author : Sarvat Husain
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.