ye hua asliyat batane mein
ye huā asliyat batāne meñ
mushkileñ baḌh ga.iiñ zamāne meñ
tab ye chūlhā dhuāñ ugaltā hai
ḳhuun jaltā hai kār-ḳhāne meñ
ġham dahakte haiñ is qadar dil meñ
hoñT jalte haiñ muskurāne meñ
ye karishma nahīñ to phir kyā hai
jī rahā huuñ tire zamāne meñ
sahmī sahmī haiñ fāḳhtā.eñ yahāñ
baaz baiThe haiñ kuchh nishāne meñ
'ishq kī jang bhī 'ajab shai hai
jiit hotī hai haar jaane meñ
ham faqīrī se lau lagā baiThe
Thokareñ maar kar ḳhazāne meñ
jism 'arshad' lahūluhān huā
bāġhbāñ se chaman bachāne meñ
ye hua asliyat batane mein
mushkilen baDh gain zamane mein
tab ye chulha dhuan ugalta hai
KHun jalta hai kar-KHane mein
gham dahakte hain is qadar dil mein
honT jalte hain muskurane mein
ye karishma nahin to phir kya hai
ji raha hun tere zamane mein
sahmi sahmi hain faKHtaen yahan
baz baiThe hain kuchh nishane mein
'ishq ki jang bhi 'ajab shai hai
jit hoti hai haar jaane mein
hum faqiri se lau laga baiThe
Thokaren mar kar KHazane mein
jism 'arshad' lahuluhan hua
baghban se chaman bachane mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.