ye hukm hai teri rahon mein dusra na mile
Interesting Fact
1969
ye hukm hai tirī rāhoñ meñ dūsrā na mile
shamīm-e-jāñ tujhe pairāhan-e-sabā na mile
bujhī huī haiñ nigāheñ ġhubār hai ki dhuāñ
vo rāsta hai ki apnā bhī naqsh-e-pā na mile
jamāl-e-shab mire ḳhvāboñ kī raushnī tak hai
ḳhudā-na-karda charāġhoñ kī lau baḌhā na mile
qadam qadam mirī vīrāniyoñ ke rañg-mahal
diloñ ko zaḳhm kī sauġhāt-e-ḳhusravāna mile
tum is dayār meñ insāñ ko DhūñDhtī ho jahāñ
vafā mile to ba-ehsās-e-mujrimāna mile
ga.e dinoñ ke havāle se tum ko pahchānā
ham aaj ḳhud se mile aur vālihāna mile
kidhar se sañg chalā thā 'adā' kahāñ pahuñchā
jo ek Thes se TūTeñ unheñ bahā na mile
ye hukm hai teri rahon mein dusra na mile
shamim-e-jaan tujhe pairahan-e-saba na mile
bujhi hui hain nigahen ghubar hai ki dhuan
wo rasta hai ki apna bhi naqsh-e-pa na mile
jamal-e-shab mere KHwabon ki raushni tak hai
KHuda-na-karda charaghon ki lau baDha na mile
qadam qadam meri viraniyon ke rang-mahal
dilon ko zaKHm ki saughat-e-KHusrawana mile
tum is dayar mein insan ko DhunDhti ho jahan
wafa mile to ba-ehsas-e-mujrimana mile
gae dinon ke hawale se tum ko pahchana
hum aaj KHud se mile aur walihana mile
kidhar se sang chala tha 'ada' kahan pahuncha
jo ek Thes se TuTen unhen baha na mile
- Book : Gazalan Tum to waqif ho (Pg. 83)
- Author : Ada Jafri
- Publication : Galib Publishers, Lahore (1982)
- Edition : 1982
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.