ye husn hai aah ya qayamat ki ek bhabhuka bhabhak raha hai
ye husn hai aah ya qayamat ki ek bhabhuka bhabhak raha hai
Nazeer Akbarabadi
MORE BYNazeer Akbarabadi
ye husn hai aah yā qayāmat ki ik bhabhūkā bhabhak rahā hai
falak pe sūraj bhī thartharā kar muñh us kā hairat se tak rahā hai
khajūrī choTī adā meñ moTī jafā meñ lambī vafā meñ chhoTī
hai aisī khoTī ki dil har ik kā har ek laT meñ laTak rahā hai
vo nīchī kāfir siyāh paTTī ki dil ke zaḳhmoñ pe bāñdhe paTTī
paḌhī hai jis ne ki us kī paTTī vo paTTī se sar Tapak rahā hai
vo māthā aisā ki chāñd nikhre phir us ke uupar vo baal bikhre
dil us ke dekhe se kyuuñ na bikhre ki misl-e-sūraj chamak rahā hai
vo chiin ḳhud-rav kaTīle abrū vo chashm jaadū nigāheñ aahū
vo palkeñ kaj-ḳhū ki jin kā har mū jigar ke andar khaTak rahā hai
ġhazab vo chanchal kī shoḳh-bīnī phir us pe nathunoñ kī nukta-chīnī
phir us pe nath kī vo ham-nashīnī phir us pe motī phaḌak rahā hai
lab o dahāñ bhī vo narm-o-nāzuk misī o paañ bhī vo qahr-o-āfat
suḳhan bhī karne kī vo latāfat ki goyā motī Tapak rahā hai
vo kaan ḳhūbī meñ chhak rahe haiñ javāhroñ meñ jhamak rahe haiñ
idhar ko jhumke jhamak rahe haiñ udhar kā baalā chamak rahā hai
surāhī gardan vo ābgīna phir aage siina bhī juuñ nagīna
bharā hai jis meñ tamām kiina ki juuñ nagīna damak rahā hai
kucheñ vo kuchh kuchh samar daraḳhtī kuchh un kī saḳhtī vo kuchh karaḳhtī
haiñ jis ne dekhe vo phal darḳhtī kaleja us kā dhaḌak rahā hai
vo surḳh añgiyā jo kas rahī hai vo chus rahī hai ukas rahī hai
kuchh aise Dhab se vo kas rahī hai ki us kā kasnā kasak rahā hai
vo peT dil ko lapeT leve vo naaf jī ko sameT leve
mazār jī kā jhapeT leve kuchh aisā peḌū phaḌak rahā hai
vo piiTh gorī kamar vo patlī ġhazab lagāvaT vo phir surīn kī
ab aage kahiye to kyā kahūñ maiñ ki hosh is jā ThiThuk rahā hai
faqat vo champe kī ik kalī hai kuchh ik muñdī hai kuchh ik khulī hai
salāḳh sone kī ik Dalī hai ki goyā kundan damak rahā hai
vo pyārī rāneñ vo gol sāqeñ vo kaf mulā.em vo narm pahuñche
kaḌī kaḌī se khaḌak rahī hai kaḌā kaḌe se khaḌak rahā hai
'nazīr' ḳhūbī maiñ us parī kī kahūñ kahāñ tak sanā banā kar
sifat sarāpā meñ jis ke likhne dil ab usī se aTak rahā hai
ye husn hai aah ya qayamat ki ek bhabhuka bhabhak raha hai
falak pe suraj bhi tharthara kar munh us ka hairat se tak raha hai
khajuri choTi ada mein moTi jafa mein lambi wafa mein chhoTi
hai aisi khoTi ki dil har ek ka har ek laT mein laTak raha hai
wo nichi kafir siyah paTTi ki dil ke zaKHmon pe bandhe paTTi
paDhi hai jis ne ki us ki paTTi wo paTTi se sar Tapak raha hai
wo matha aisa ki chand nikhre phir us ke upar wo baal bikhre
dil us ke dekhe se kyun na bikhre ki misl-e-suraj chamak raha hai
wo chin KHud-raw kaTile abru wo chashm jadu nigahen aahu
wo palken kaj-KHu ki jin ka har mu jigar ke andar khaTak raha hai
ghazab wo chanchal ki shoKH-bini phir us pe nathunon ki nukta-chini
phir us pe nath ki wo ham-nashini phir us pe moti phaDak raha hai
lab o dahan bhi wo narm-o-nazuk misi o pan bhi wo qahr-o-afat
suKHan bhi karne ki wo latafat ki goya moti Tapak raha hai
wo kan KHubi mein chhak rahe hain jawahron mein jhamak rahe hain
idhar ko jhumke jhamak rahe hain udhar ka baala chamak raha hai
surahi gardan wo aabgina phir aage sina bhi jun nagina
bhara hai jis mein tamam kina ki jun nagina damak raha hai
kuchen wo kuchh kuchh samar daraKHti kuchh un ki saKHti wo kuchh karaKHti
hain jis ne dekhe wo phal darKHti kaleja us ka dhaDak raha hai
wo surKH angiya jo kas rahi hai wo chus rahi hai ukas rahi hai
kuchh aise Dhab se wo kas rahi hai ki us ka kasna kasak raha hai
wo peT dil ko lapeT lewe wo naf ji ko sameT lewe
mazar ji ka jhapeT lewe kuchh aisa peDu phaDak raha hai
wo piTh gori kamar wo patli ghazab lagawaT wo phir surin ki
ab aage kahiye to kya kahun main ki hosh is ja ThiThuk raha hai
faqat wo champe ki ek kali hai kuchh ek mundi hai kuchh ek khuli hai
salaKH sone ki ek Dali hai ki goya kundan damak raha hai
wo pyari ranen wo gol saqen wo kaf mulaem wo narm pahunche
kaDi kaDi se khaDak rahi hai kaDa kaDe se khaDak raha hai
'nazir' KHubi main us pari ki kahun kahan tak sana bana kar
sifat sarapa mein jis ke likhne dil ab usi se aTak raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.