ye husn hai jharnon mein na hai baad-e-chaman mein
ye husn hai jharnoñ meñ na hai bād-e-chaman meñ
jis husn se hai chāñd ravāñ nīl-gagan meñ
ai kaash kabhī qaid bhī hotā mire fan meñ
vo naġhma-e-dil-kash ki hai āvāra pavan meñ
uTh kar tirī mahfil se ajab haal huā hai
dil apnā bahaltā hai na bastī meñ na ban meñ
ik husn-e-mujassam kā vo pairāhan-e-rañgīñ
Dhal jaa.e dhanak jaise kisī chandr-kiran meñ
ai nik.hat-e-āvāra zarā tū hī batā de
hai tāzgī phūloñ meñ ki us shoḳh ke tan meñ
dekhā thā kahāñ us ko hameñ yaad nahīñ hai
tasvīr sī phirtī hai magar ab bhī nayan meñ
is daur meñ āsāñ to na thī aisī ġhazal bhī
kuchh fan abhī zinda hai magar mulk-e-dakan meñ
ye husn hai jharnon mein na hai baad-e-chaman mein
jis husn se hai chand rawan nil-gagan mein
ai kash kabhi qaid bhi hota mere fan mein
wo naghma-e-dil-kash ki hai aawara pawan mein
uTh kar teri mahfil se ajab haal hua hai
dil apna bahalta hai na basti mein na ban mein
ek husn-e-mujassam ka wo pairahan-e-rangin
Dhal jae dhanak jaise kisi chandr-kiran mein
ai nikhat-e-awara zara tu hi bata de
hai tazgi phulon mein ki us shoKH ke tan mein
dekha tha kahan us ko hamein yaad nahin hai
taswir si phirti hai magar ab bhi nayan mein
is daur mein aasan to na thi aisi ghazal bhi
kuchh fan abhi zinda hai magar mulk-e-dakan mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.