ye ibaadat hai alag ishq ke meyar alag
ye 'ibādat hai alag 'ishq ke me'yār alag
tere dīvāne alag tere parastār alag
us ke dīdār se bhartā hī nahīñ dil apnā
jab bhī dekho use lagtā hai vo har baar alag
jis meñ aa.ī thī ḳhabar aap ke lauT aane kī
maiñ ne rakkhā hai abhī tak ke vo aḳhbār alag
ik zarā baat pe rishtoñ ke bharam Tuut ga.e
ho ga.e dar bhī alag ho ga.ī dīvār alag
dil kī bechainī ko ārām na mil paayā kahīñ
ho ke us yaar se dekhā hai ka.ī baar alag
ham bhī yūsuf the to kam daam meñ bikte kaise
apnā bāzār alag apne ḳharīdār alag
ye 'ibaadat hai alag 'ishq ke me'yar alag
tere diwane alag tere parastar alag
us ke didar se bharta hi nahin dil apna
jab bhi dekho use lagta hai wo har bar alag
jis mein aai thi KHabar aap ke lauT aane ki
main ne rakkha hai abhi tak ke wo aKHbar alag
ek zara baat pe rishton ke bharam Tut gae
ho gae dar bhi alag ho gai diwar alag
dil ki bechaini ko aaram na mil paya kahin
ho ke us yar se dekha hai kai bar alag
hum bhi yusuf the to kam dam mein bikte kaise
apna bazar alag apne KHaridar alag
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.