ye ibtida hai abhi bab-e-iKHtitam kahan
ye ibtidā hai abhī bāb-e-iḳhtitām kahāñ
lahū tarang kā qissa huā tamām kahāñ
likhī hai ḳhuun se ham ne hikāyat-e-hastī
magar kitāb meñ hogā hamārā naam kahāñ
hamārā naam na pūchho na kuchh patā pūchho
hamārī sub.h kahāñ hai hamārī shaam kahāñ
hameñ to kuchh bhī nahīñ hai ḳhabar ki ab ke ham
agar uTheñge yahāñ se to phir qayām kahāñ
matā-e-hosh to ham mai-kade meñ kho aa.e
chalā hai le ke hameñ ab surūr-e-jām kahāñ
ye ibtida hai abhi bab-e-iKHtitam kahan
lahu tarang ka qissa hua tamam kahan
likhi hai KHun se hum ne hikayat-e-hasti
magar kitab mein hoga hamara nam kahan
hamara nam na puchho na kuchh pata puchho
hamari subh kahan hai hamari sham kahan
hamein to kuchh bhi nahin hai KHabar ki ab ke hum
agar uThenge yahan se to phir qayam kahan
mata-e-hosh to hum mai-kade mein kho aae
chala hai le ke hamein ab surur-e-jam kahan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.