ye imtihan ki ghaDi hai ghazal ka saz uTha
ye imtihāñ kī ghaḌī hai ġhazal kā saaz uThā
anā pe aan paḌī hai ġhazal kā saaz uThā
ghaTā umaḌ ke jo barsoñ thamī thī āñkhoñ meñ
baras vo aaj paḌī hai ġhazal kā saaz uThā
piro ke ashk gun.the sher ho ga.ī lo ġhazal
ye motiyoñ kī laḌī hai ġhazal kā saaz uThā
jise talāsh na paayā koī tasavvur meñ
usī se aañkh laḌī hai ġhazal kā saaz uThā
safar meñ ziist ke saa.e ġhazal ke saath raheñ
agarche dhuup kaḌī hai ġhazal kā saaz uThā
thakā hai laakh musāfir safar tamām sahī
abhī bhī umr paḌī hai ġhazal kā saaz uThā
tujhe jahān kī har ik ḳhushī milegī 'nayā'
ġhamoñ kī bhiiḌ khaḌī hai ġhazal kā saaz uThā
ye imtihan ki ghaDi hai ghazal ka saz uTha
ana pe aan paDi hai ghazal ka saz uTha
ghaTa umaD ke jo barson thami thi aankhon mein
baras wo aaj paDi hai ghazal ka saz uTha
piro ke ashk gunthe sher ho gai lo ghazal
ye motiyon ki laDi hai ghazal ka saz uTha
jise talash na paya koi tasawwur mein
usi se aankh laDi hai ghazal ka saz uTha
safar mein zist ke sae ghazal ke sath rahen
agarche dhup kaDi hai ghazal ka saz uTha
thaka hai lakh musafir safar tamam sahi
abhi bhi umr paDi hai ghazal ka saz uTha
tujhe jahan ki har ek KHushi milegi 'naya'
ghamon ki bhiD khaDi hai ghazal ka saz uTha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.