ye in dinon hain kahan rabte baham uske
ye in dinoñ haiñ kahāñ rābte baham us ke
buland kaisī fazāoñ meñ haiñ 'alam us ke
ye fasl kaisī havāoñ ne muntashir kar dī
ki baal bikhre haiñ aur saañs be-rythm us ke
utarne hī na diyā ham ko paar dariyā ne
ki ham samajh hī nahīñ paa.e pech-o-ḳham us ke
chamak rahā hai inhī jugnuoñ se vīrāna
ki mere dasht meñ haiñ jā-ba-jā qadam us ke
hamesha ham ko mile ye charāġh jalte hue
hamesha ham ko mile āñchaloñ meñ nam us ke
azal se ham isī taqsīm par bahut ḳhush haiñ
azal se lauh hamārī hai aur qalam us ke
ye in dinon hain kahan rabte baham us ke
buland kaisi fazaon mein hain 'alam us ke
ye fasl kaisi hawaon ne muntashir kar di
ki baal bikhre hain aur sans be-rythm us ke
utarne hi na diya hum ko par dariya ne
ki hum samajh hi nahin pae pech-o-KHam us ke
chamak raha hai inhi jugnuon se virana
ki mere dasht mein hain ja-ba-ja qadam us ke
hamesha hum ko mile ye charagh jalte hue
hamesha hum ko mile aanchalon mein nam us ke
azal se hum isi taqsim par bahut KHush hain
azal se lauh hamari hai aur qalam us ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.