ye inkishaf chaman mein hua bahaar ke baad
ye inkishāf chaman meñ huā bahār ke ba.ad
ik aur daur bhī hai daur-e-ḳhush-gavār ke ba.ad
rahā to huuñ maiñ nasheman meñ muddatoñ lekin
kabhī bahār se pahle kabhī bahār ke ba.ad
dil-e-hazīñ ko shab-e-ġham bahut fareb diye
na aa.ī niiñd magar tere intizār ke ba.ad
jamāl-e-ġhuncha-o-gul par nigāh kaun kare
jamāl-e-ġhuncha-o-gul hai jamāl-e-yār ke ba.ad
bahār meñ jo mujhe riñd kah rahe haiñ 'azīz'
vo pārsā bhī kaheñge mujhe bahār ke ba.ad
ye inkishaf chaman mein hua bahaar ke baad
ek aur daur bhi hai daur-e-KHush-gawar ke baad
raha to hun main nasheman mein muddaton lekin
kabhi bahaar se pahle kabhi bahaar ke baad
dil-e-hazin ko shab-e-gham bahut fareb diye
na aai nind magar tere intizar ke baad
jamal-e-ghuncha-o-gul par nigah kaun kare
jamal-e-ghuncha-o-gul hai jamal-e-yar ke baad
bahaar mein jo mujhe rind kah rahe hain 'aziz'
wo parsa bhi kahenge mujhe bahaar ke baad
- Book : Mehraab (Pg. 77)
- Author : Aziiz vaarsii
- Publication : Maktaba Nida-e-ittiihaad (1976)
- Edition : 1976
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.