ye ishq agar aisa pur-asrar na hota
ye ishq agar aisā pur-asrār na hotā
mansūr kabhī koī sar-e-dār na hotā
zanjīr-zanī hotī na har saañs meñ merī
dil dard kā aise jo alam-dār na hotā
phir chāñd nahīñ kartā kabhī ashk-fishānī
gar TuuTe sitāroñ kā azādār na hotā
kuchh rishtoñ ko maiñ saath kabhī rakh nahīñ paatī
mujh meñ jo agar koī adākār na hotā
is dil meñ tirā aks farozāñ nahīñ rahtā
gar shīsha mire dil kā chamakdār na hotā
maiñ ḳhud ko ka.ī baar banā letī abhī tak
gar lams mujhe terā ye darkār na hotā
gar us pe tirā bhed khulā hotā ai saaqī
phir shaiḳh ko mai-ḳhāne se inkār na hotā
phir ḳhaak maza detā barastā huā sāvan
is rut meñ agar hijr kā āzār na hotā
sad-shukr ki aiboñ pe mire parda paḌā hai
kyā hotā agar merā vo sattār na hotā
har chand ki patthar huuñ magar TuuT rahī huuñ
ai kaash tū patthar kā talabgār na hotā
ye ishq agar aisa pur-asrar na hota
mansur kabhi koi sar-e-dar na hota
zanjir-zani hoti na har sans mein meri
dil dard ka aise jo alam-dar na hota
phir chand nahin karta kabhi ashk-fishani
gar TuTe sitaron ka azadar na hota
kuchh rishton ko main sath kabhi rakh nahin pati
mujh mein jo agar koi adakar na hota
is dil mein tera aks farozan nahin rahta
gar shisha mere dil ka chamakdar na hota
main KHud ko kai bar bana leti abhi tak
gar lams mujhe tera ye darkar na hota
gar us pe tera bhed khula hota ai saqi
phir shaiKH ko mai-KHane se inkar na hota
phir KHak maza deta barasta hua sawan
is rut mein agar hijr ka aazar na hota
sad-shukr ki aibon pe mere parda paDa hai
kya hota agar mera wo sattar na hota
har chand ki patthar hun magar TuT rahi hun
ai kash tu patthar ka talabgar na hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.