ye ishq alam gham zanjiren
ye ishq alam ġham zanjīreñ
ik ḳhvāb kī lākhoñ ta.abīreñ
āñkhoñ se utartī sī dil meñ
kis chāñd kī haiñ ye tasvīreñ
sīnoñ meñ añdheroñ kī jhāñko
haiñ lākhoñ machaltī tanvīreñ
dekhī haiñ mohabbat meñ ham ne
āñkhoñ se badaltī taqdīreñ
hai un kā nasība jūd-o-karam
haiñ apnā muqaddar ta.azīreñ
ab aks tumhārā hai dil meñ
kis kaam kī mere tasvīreñ
hai dil ke lahū kī ġhammāzī
'aḳhtar' ye tumhārī tahrīreñ
ye ishq alam gham zanjiren
ek KHwab ki lakhon tabiren
aankhon se utarti si dil mein
kis chand ki hain ye taswiren
sinon mein andheron ki jhanko
hain lakhon machalti tanwiren
dekhi hain mohabbat mein hum ne
aankhon se badalti taqdiren
hai un ka nasiba jud-o-karam
hain apna muqaddar taziren
ab aks tumhaara hai dil mein
kis kaam ki mere taswiren
hai dil ke lahu ki ghammazi
'aKHtar' ye tumhaari tahriren
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.