ye ishq-e-na-murad bhi kis gumrahi mein hai
ye ishq-e-nā-murād bhī kis gumrahī meñ hai
khiḌkī meñ jo kabhī thā vo chehra galī meñ hai
har sub.h chheḌtī haiñ havāoñ kī uñgliyāñ
poshīda ek phuul jo nannhī kalī meñ hai
jaise har ek añg hai āñkheñ liye hue
kyā turfa ehtiyāt tirī sādgī meñ hai
nākām zindagī ho ki nākām ishq ho
jiine kī aarzū to mirī jaañ sabhī meñ hai
zardār-o-hukmarān meñ insāñ kā ehtirām
aglī sadī meñ thā na ye ab kī sadī meñ hai
tujh se bichhaḌ ke sab kī nazar meñ rahegā kyā
ab tak to ye 'shakīl' tirī raushnī meñ hai
ye ishq-e-na-murad bhi kis gumrahi mein hai
khiDki mein jo kabhi tha wo chehra gali mein hai
har subh chheDti hain hawaon ki ungliyan
poshida ek phul jo nannhi kali mein hai
jaise har ek ang hai aankhen liye hue
kya turfa ehtiyat teri sadgi mein hai
nakaam zindagi ho ki nakaam ishq ho
jine ki aarzu to meri jaan sabhi mein hai
zardar-o-hukmaran mein insan ka ehtiram
agli sadi mein tha na ye ab ki sadi mein hai
tujh se bichhaD ke sab ki nazar mein rahega kya
ab tak to ye 'shakil' teri raushni mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.