ye ishq hai wahshat hai ki aashufta-sari hai
ye ishq hai vahshat hai ki āshufta-sarī hai
jo kuchh hai mire sar pe magar tāj-varī hai
āñkhoñ meñ chamaktī hai kashish us ke badan kī
jaltī hai zamīñ dhuup kī har shāḳh harī hai
har chāre se baḌhtā hai mire zaḳhm kā risnā
la.anat hai agar vaqt kī ye chāragarī hai
har mauj meñ hai us ke badan ke ka.ī jaadū
vo rashk-e-qamar rashk-e-jināñ rashk-e-parī hai
ummīd bhī ḳhud lauT ke ab aa na sakegī
is daur ke rahbar kī ajab rāhbarī hai
Thahrā hī nahīñ dasht-navardī kā musāfir
āshiq ke muqaddar meñ faqat dar-ba-darī hai
sharmā ke shab-e-ġham mirī bāñhoñ meñ simaT aa
maiñ ne hī sitāroñ se terī maañg bharī hai
mujh se vo 'nadīm' ab bhī ta.alluq na rakheñge
aadat hai burī merī har ik baat kharī hai
ye ishq hai wahshat hai ki aashufta-sari hai
jo kuchh hai mere sar pe magar taj-wari hai
aankhon mein chamakti hai kashish us ke badan ki
jalti hai zamin dhup ki har shaKH hari hai
har chaare se baDhta hai mere zaKHm ka risna
lanat hai agar waqt ki ye chaaragari hai
har mauj mein hai us ke badan ke kai jadu
wo rashk-e-qamar rashk-e-jinan rashk-e-pari hai
ummid bhi KHud lauT ke ab aa na sakegi
is daur ke rahbar ki ajab rahbari hai
Thahra hi nahin dasht-nawardi ka musafir
aashiq ke muqaddar mein faqat dar-ba-dari hai
sharma ke shab-e-gham meri banhon mein simaT aa
main ne hi sitaron se teri mang bhari hai
mujh se wo 'nadim' ab bhi talluq na rakhenge
aadat hai buri meri har ek baat khari hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.