ye ishq hota hai bin sikhae ki us ka koi nisab kaisa
ye ishq hotā hai bin sikhā.e ki us kā koī nisāb kaisā
har ik hai is raah kā musāfir faqīr kaisā navāb kaisā
usuul hai ye dayār-e-dil kā ki aane vaalā gayā na vāpas
har ik sitam muskurā ke sahnā savāl kaisā javāb kaisā
sukūn-e-dil kā maqām pūchho vafā kī manzil ke rāhiyoñ se
kaThin hai har din masāfatoñ kā ye ratjagoñ kā azaab kaisā
huā hai charchā zamāne bhar meñ tumhārī be-nām chāhatoñ kā
to mujh se kyoñ tum chhupā rahe ho nigāhoñ meñ hai ye ḳhvāb kaisā
vafā kī rāhoñ pe chal paḌe ho to dekho dil ko sambhāle rakhnā
qadam qadam dard-e-nā-rasā.ī yahāñ thakan kā hisāb kaisā
ye ishq hota hai bin sikhae ki us ka koi nisab kaisa
har ek hai is rah ka musafir faqir kaisa nawab kaisa
usul hai ye dayar-e-dil ka ki aane wala gaya na wapas
har ek sitam muskura ke sahna sawal kaisa jawab kaisa
sukun-e-dil ka maqam puchho wafa ki manzil ke rahiyon se
kaThin hai har din masafaton ka ye ratjagon ka azab kaisa
hua hai charcha zamane bhar mein tumhaari be-nam chahaton ka
to mujh se kyon tum chhupa rahe ho nigahon mein hai ye KHwab kaisa
wafa ki rahon pe chal paDe ho to dekho dil ko sambhaale rakhna
qadam qadam dard-e-na-rasai yahan thakan ka hisab kaisa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.