ye ishq ke satae karenge laDai KHak
ye ishq ke satā.e kareñge laḌā.ī ḳhaak
ghar phūñk ke kiyā hai tamāshā uḌaa.ī ḳhaak
ham se jo ho sakā to mohabbat meñ ye kiyā
dil ko jalā ke rāh-e-vafā meñ bujhā.ī ḳhaak
rab kī razā se sang bhī karne lage kalām
tāqat ho gar duāoñ meñ bantī davā.ī ḳhaak
ham ne sunā hai ā.eñge 'irshād' is taraf
palkoñ se apnī dekhiye ham ne uḌaa.ī ḳhaak
do lafz tum ne bole tasallī ke aa ke bas
ai jaan tum ne dostī mujh se nibhā.ī ḳhaak
ye ishq ke satae karenge laDai KHak
ghar phunk ke kiya hai tamasha uDai KHak
hum se jo ho saka to mohabbat mein ye kiya
dil ko jala ke rah-e-wafa mein bujhai KHak
rab ki raza se sang bhi karne lage kalam
taqat ho gar duaon mein banti dawai KHak
hum ne suna hai aaenge 'irshad' is taraf
palkon se apni dekhiye hum ne uDai KHak
do lafz tum ne bole tasalli ke aa ke bas
ai jaan tum ne dosti mujh se nibhai KHak
- Book : آہٹ دیوان عزیز (Pg. 160)
- Author : ارشاد عزیز
- Publication : مرکزی پبلیکیشنز،نئی دہلی (2022)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.