ye ishq ki hai rah na yun Dagmaga ke chal
ye ishq kī hai raah na yuuñ Dagmagā ke chal
himmat ko apnī tol qadam ko jamā ke chal
rāh-e-vafā hai is meñ na yuuñ muñh banā ke chal
kāñToñ ko rauñd rauñd ke tū muskurā ke chal
sham-e-yaqīñ kī lau ko zarā aur tez kar
zulmat meñ rahravoñ ko bhī rasta dikhā ke chal
gardish falak kī tez hai raftār terī sust
manzil hai duur apne qadam ab baḌhā ke chal
dushman jo dost ke haiñ vo nārāz haiñ to hoñ
siine pe zaḳhm un kī jafāoñ kā khā ke chal
tīroñ kī baaḌh aane de apne qadam na rok
un kī ḳhushī yahī hai tū ḳhuuñ meñ nahā ke chal
bahtā hai ḳhuuñ to bahne de bahne kī chiiz hai
qatroñ se ḳhūn-e-surḳh ke gulshan khilā ke chal
himmat ke jaam sabr ke miinā se nosh kar
naqsh-e-qadam se apne tū rasta banā ke chal
jaltā rahe bas us kī tamannā kā ik diyā
us ke sivā haiñ jitne diye sab bujhā ke chal
ai mīr-e-kārvāñ tirī ḳhidmat meñ arz hai
jo gir rahe haiñ raah meñ un ko uThā ke chal
rasta kaThin hai tū hai bahut nā-tavāñ 'urūj'
sultān-e-kā.enāt ko haamī banā ke chal
ye ishq ki hai rah na yun Dagmaga ke chal
himmat ko apni tol qadam ko jama ke chal
rah-e-wafa hai is mein na yun munh bana ke chal
kanTon ko raund raund ke tu muskura ke chal
sham-e-yaqin ki lau ko zara aur tez kar
zulmat mein rahrawon ko bhi rasta dikha ke chal
gardish falak ki tez hai raftar teri sust
manzil hai dur apne qadam ab baDha ke chal
dushman jo dost ke hain wo naraaz hain to hon
sine pe zaKHm un ki jafaon ka kha ke chal
tiron ki baDh aane de apne qadam na rok
un ki KHushi yahi hai tu KHun mein naha ke chal
bahta hai KHun to bahne de bahne ki chiz hai
qatron se KHun-e-surKH ke gulshan khila ke chal
himmat ke jam sabr ke mina se nosh kar
naqsh-e-qadam se apne tu rasta bana ke chal
jalta rahe bas us ki tamanna ka ek diya
us ke siwa hain jitne diye sab bujha ke chal
ai mir-e-karwan teri KHidmat mein arz hai
jo gir rahe hain rah mein un ko uTha ke chal
rasta kaThin hai tu hai bahut na-tawan 'uruj'
sultan-e-kaenat ko hami bana ke chal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.