ye ishq kya hai rahmat-e-parwardigar hai
ye ishq kyā hai rahmat-e-parvardigār hai
vo ġham atā huā hai jo dil kā qarār hai
duniyā-e-ġham tasavvur-e-dil par nisār hai
ya.anī ki be-niyāz-e-ḳhizāñ ye bahār hai
ai husn-e-dost qaid-e-maqāmāt-e-jalva kyuuñ
ab tuur se bhī haT ke tirā intizār hai
kyā pūchhte ho ishq kī nāzuk-mizājiyāñ
dil ke liye ab un ko tamannā bhī baar hai
va.ade ke saath saath tabassum bhī kyā zarūr
maiñ ḳhud to kah rahā huuñ mujhe e'tibār hai
lillāh iltifāt-e-musalsal se ehtiyāt
dil ko fazā-e-dard bahut sāzgār hai
dāman jhaTak ke dekh zarā mahv-e-kā.enāt
duniyā to kārvān-e-adam kā ġhubār hai
vo ḳhud asīr-e-bazm-e-tasavvur haiñ āj-kal
duniyā-e-ārzū pe mirā iḳhtiyār hai
'shāhid' junūn-e-mahviyat-e-dil batā.ūñ kyā
vo aa chuke haiñ aur mujhe intizār hai
ye ishq kya hai rahmat-e-parwardigar hai
wo gham ata hua hai jo dil ka qarar hai
duniya-e-gham tasawwur-e-dil par nisar hai
yani ki be-niyaz-e-KHizan ye bahaar hai
ai husn-e-dost qaid-e-maqamat-e-jalwa kyun
ab tur se bhi haT ke tera intizar hai
kya puchhte ho ishq ki nazuk-mizajiyan
dil ke liye ab un ko tamanna bhi bar hai
wade ke sath sath tabassum bhi kya zarur
main KHud to kah raha hun mujhe e'tibar hai
lillah iltifat-e-musalsal se ehtiyat
dil ko faza-e-dard bahut sazgar hai
daman jhaTak ke dekh zara mahw-e-kaenat
duniya to karwan-e-adam ka ghubar hai
wo KHud asir-e-bazm-e-tasawwur hain aaj-kal
duniya-e-arzu pe mera iKHtiyar hai
'shahid' junun-e-mahwiyat-e-dil bataun kya
wo aa chuke hain aur mujhe intizar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.