ye ishq-o-wafa ka sila kuchh nahin
ye 'ishq-o-vafā kā sila kuchh nahīñ
kahā thā kisī ne ḳhudā kuchh nahīñ
jo chāhā thā tū ne kisī aur ko
mujhe yaar tujh se gila kuchh nahīñ
vo patjhaḌ bahāroñ ke mānind thī
bahāroñ meñ ab ke khilā kuchh nahīñ
mirī ek ḳhvāhish na puurī huī
ye lagne lagā hai du'ā kuchh nahīñ
zarūrat unheñ lau kī ab aa paḌī
kahā karte the jo diyā kuchh nahīñ
zamāne ko khalne lagī hai vafā
to 'rahmān' tujh se burā kuchh nahīñ
ye 'ishq-o-wafa ka sila kuchh nahin
kaha tha kisi ne KHuda kuchh nahin
jo chaha tha tu ne kisi aur ko
mujhe yar tujh se gila kuchh nahin
wo patjhaD bahaaron ke manind thi
bahaaron mein ab ke khila kuchh nahin
meri ek KHwahish na puri hui
ye lagne laga hai du'a kuchh nahin
zarurat unhen lau ki ab aa paDi
kaha karte the jo diya kuchh nahin
zamane ko khalne lagi hai wafa
to 'rahman' tujh se bura kuchh nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.