ye ishq wo hai ki jis ka nasha na utrega
ye 'ishq vo hai ki jis kā nasha na utregā
is āsmān se ab ye ḳhudā na utregā
ye rang-e-girya rahegā jo tere kūche meñ
idhar se koī bhī hañstā huā na guzregā
jo tere paañv falak par dhare rahe yūñhī
zamīñ pe sabza-e-rang-e-hinā na utregā
lagā diyā jo use mere ḳhūn-e-nāhaq ne
zabān-e-shahr se ab ye maza na utregā
utaar laa.e kisī bhī ġhubār-e-rāh kā 'aks
ab is qadar bhī mirā aa.ina na utregā
nadī pe mohr lagā dī shanāvarī ne mirī
is āb-e-ḳhās meñ ab dūsrā na utregā
lazīz bhī hai ravāñ bhī bahut magar 'ehsās'
mire gale se tirā zā.iqa na utregā
ye 'ishq wo hai ki jis ka nasha na utrega
is aasman se ab ye KHuda na utrega
ye rang-e-girya rahega jo tere kuche mein
idhar se koi bhi hansta hua na guzrega
jo tere panw falak par dhare rahe yunhi
zamin pe sabza-e-rang-e-hina na utrega
laga diya jo use mere KHun-e-nahaq ne
zaban-e-shahr se ab ye maza na utrega
utar lae kisi bhi ghubar-e-rah ka 'aks
ab is qadar bhi mera aaina na utrega
nadi pe mohr laga di shanawari ne meri
is aab-e-KHas mein ab dusra na utrega
laziz bhi hai rawan bhi bahut magar 'ehsas'
mere gale se tera zaiqa na utrega
- Book : Mohabbat Kar Ke Dekho Na (Pg. 28)
- Author : Farhat Ehsas
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.