ye itnī barhamī kyuuñ hai ye mujh se bad-gumāñ kyuuñ ho
jo maiñ tum ko sunātā huuñ vo merī dāstāñ kyuuñ ho
ilāhī ḳhair kyā koī musībat aane vaalī hai
jo ik duniyā se khiñchtā ho vo mujh par mehrbāñ kyuuñ ho
mirī ġhairat ye ḳhud-ārā.ī gavārā kar nahīñ saktī
na jo merā ḳhudā ho vo ḳhudā-e-do-jahāñ kyuuñ ho
ruḳh-e-gītī kā ġhāza ḳhaak hai in ḳhush-nihādoñ kī
vajūd-e-ahl-e-dil ahl-e-zamāna par garāñ kyuuñ ho
zamāna lamha lamha kaam aatā hai zamāne ke
'munavār' umr ik merī hī umr-e-rā.egāñ kyuuñ ho
ye itni barhami kyun hai ye mujh se bad-guman kyun ho
jo main tum ko sunata hun wo meri dastan kyun ho
ilahi KHair kya koi musibat aane wali hai
jo ek duniya se khinchta ho wo mujh par mehrban kyun ho
meri ghairat ye KHud-arai gawara kar nahin sakti
na jo mera KHuda ho wo KHuda-e-do-jahan kyun ho
ruKH-e-giti ka ghaza KHak hai in KHush-nihadon ki
wajud-e-ahl-e-dil ahl-e-zamana par garan kyun ho
zamana lamha lamha kaam aata hai zamane ke
'munawar' umr ek meri hi umr-e-raegan kyun ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.