ye ittifaq tha main us ka ham-zamana tha
ye ittifāq thā maiñ us kā ham-zamāna thā
jo zindagī se ta.āruf thā ġhā.ebāna thā
kahīñ mile to kabhī umr-e-rafta se pūchhūñ
kahāñ hai aaj tirā jis se dostāna thā
banā ke ab mujhe īñdhan jalā.e jaatā hai
yahī thī shāḳh kabhī jis pe āshiyāna thā
kabhī jo zo.am huā vaqt rah gayā pīchhe
nazar uThā.ī to dekhā vahī zamāna thā
kahāñ thī koī samā.at makīñ vahāñ to faqat
jabīn-sā.ī kī ḳhātir ik āstāna thā
kabhī ġhazāl sī ḳhū-e-gurez hī na ga.ī
thī qurbateñ to bahut ek shāḳhsāna thā
ye ittifaq tha main us ka ham-zamana tha
jo zindagi se taaruf tha ghaebana tha
kahin mile to kabhi umr-e-rafta se puchhun
kahan hai aaj tera jis se dostana tha
bana ke ab mujhe indhan jalae jata hai
yahi thi shaKH kabhi jis pe aashiyana tha
kabhi jo zoam hua waqt rah gaya pichhe
nazar uThai to dekha wahi zamana tha
kahan thi koi samaat makin wahan to faqat
jabin-sai ki KHatir ek aastana tha
kabhi ghazal si KHu-e-gurez hi na gai
thi qurbaten to bahut ek shaKHsana tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.