ye izn-e-jast faqat ek bahana hota hai
ye izn-e-jast faqat ik bahāna hotā hai
kahāñ Thaharte haiñ vo jin ko jaanā hotā hai
hamāre sar pe mohabbat kā itnā bojh na Daal
hameñ ma.āsh kā dukh bhī uThānā hotā hai
jahāñ pe soḳhta jazbāt rakhe jaate haiñ
har ek dil meñ kahīñ sard-ḳhāna hotā hai
hamāre tazkire sadiyoñ laboñ pe rahte haiñ
hamāre din nahīñ hote zamāna hotā hai
tū mo'tariz na ho itnā malāl-e-besh-bahā
kabhī kabhī to hameñ muskurānā hotā hai
uḌā le jaatī hai mujh ko vahāñ samay kī havā
jahāñ kahīñ bhī mirā āb-o-dāna hotā hai
kisī ko laatī hai rāhoñ meñ kachche ghar kī ḳhalish
koī safar pe ḳhushī se ravāna hotā hai
khule-kivāḌ alāmat haiñ aas kī lekin
havā ke ruḳh pe diyā bhī jalānā hotā hai
hamāre haal pe jaisī guzar rahī ho 'hasan'
hameñ ravayya bhī vaisā banānā hotā hai
ye izn-e-jast faqat ek bahana hota hai
kahan Thaharte hain wo jin ko jaana hota hai
hamare sar pe mohabbat ka itna bojh na Dal
hamein maash ka dukh bhi uThana hota hai
jahan pe soKHta jazbaat rakhe jate hain
har ek dil mein kahin sard-KHana hota hai
hamare tazkire sadiyon labon pe rahte hain
hamare din nahin hote zamana hota hai
tu mo'tariz na ho itna malal-e-besh-baha
kabhi kabhi to hamein muskurana hota hai
uDa le jati hai mujh ko wahan samay ki hawa
jahan kahin bhi mera aab-o-dana hota hai
kisi ko lati hai rahon mein kachche ghar ki KHalish
koi safar pe KHushi se rawana hota hai
khule-kiwaD alamat hain aas ki lekin
hawa ke ruKH pe diya bhi jalana hota hai
hamare haal pe jaisi guzar rahi ho 'hasan'
hamein rawayya bhi waisa banana hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.