ye jadu-e-jamal kisi dida-war se puchh
ye jādū-e-jamāl kisī dīda-var se pūchh
ā.īna kyā batā.egā merī nazar se pūchh
iz.hār-e-dard merī zabāñ se na ho sakā
ai shoḳh dil kā haal mirī chashm-e-tar se pūchh
ahd-e-bahār meñ bhī gulāboñ ke kyuuñ haram
mismār ho rahe haiñ nasīm-e-sahar se pūchh
vahshat meñ bhī kiyā huā kyā kyā nahīñ huā
kuchh apnī rahguzār se kuchh sañg-e-dar se pūchh
shām-e-visāl dost kahāñ kho ga.ī 'shamīm'
vīrānī-e-hayāt kī is dopahar se pūchh
ye jadu-e-jamal kisi dida-war se puchh
aaina kya bataega meri nazar se puchh
izhaar-e-dard meri zaban se na ho saka
ai shoKH dil ka haal meri chashm-e-tar se puchh
ahd-e-bahaar mein bhi gulabon ke kyun haram
mismar ho rahe hain nasim-e-sahar se puchh
wahshat mein bhi kiya hua kya kya nahin hua
kuchh apni rahguzar se kuchh sang-e-dar se puchh
sham-e-visal dost kahan kho gai 'shamim'
virani-e-hayat ki is dopahar se puchh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.