ye jam-o-baada-o-mina to sab dilase hain
ye jām-o-bāda-o-mīnā to sab dilāse haiñ
laboñ ko dekh vahī umr-bhar ke pyāse haiñ
karo jo yaad to ham se bhī nisbateñ haiñ tumheñ
vo nisbateñ jo kaf-e-pā ko naqsh-e-pā se haiñ
zarā meñ zaḳhm lagā.e zarā meñ de marham
baḌe ajiib ravābit mire sabā se haiñ
tire baġhair bhī kaTtī rahī zarā na rukī
shikāyateñ mujhe umr-e-gurez-pā se haiñ
na bah sakīñ to ragoñ meñ ravāñ-davāñ nashtar
nikal bahīñ to ye aañsū zarā zarā se haiñ
ye jam-o-baada-o-mina to sab dilase hain
labon ko dekh wahi umr-bhar ke pyase hain
karo jo yaad to hum se bhi nisbaten hain tumhein
wo nisbaten jo kaf-e-pa ko naqsh-e-pa se hain
zara mein zaKHm lagae zara mein de marham
baDe ajib rawabit mere saba se hain
tere baghair bhi kaTti rahi zara na ruki
shikayaten mujhe umr-e-gurez-pa se hain
na bah sakin to ragon mein rawan-dawan nashtar
nikal bahin to ye aansu zara zara se hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.