ye jaan kar tujhe koi KHushi nahin hogi
ye jaan kar tujhe koī ḳhushī nahīñ hogī
ki tere baad bhī mujh meñ kamī nahīñ hogī
ye saarā jhagḌā tirā hai jo tū nahīñ hogā
yahāñ kisī kī bhī phir dushmanī nahīñ hogī
maiñ ek din koī tasvīr bhī banā.ūñgā
ye aur baat ki vo aap kī nahīñ hogī
maiñ is liye tirī āñkhoñ ko saath rakhtā huuñ
maiñ jāntā huuñ vahāñ raushnī nahīñ hogī
ye zindagī kisī bichhḌe kā ġham manāte hue
bas ek lamhe se zyāda rukī nahīñ hogī
hamāre jism kī duniyā ḳhizāñ-rasīda hai
tumhāre chhūne se kyā ye harī nahīñ hogī
vo jis kī aañkh meñ ab tak mashāl zinda hai
vo maañ to T-V bhī ab dekhtī nahīñ hogī
yahāñ siyāsat-o-maz.hab pe jang hogī faqat
mirī zamīn pe ab shā.irī nahīñ hogī
ye jaan kar tujhe koi KHushi nahin hogi
ki tere baad bhi mujh mein kami nahin hogi
ye sara jhagDa tera hai jo tu nahin hoga
yahan kisi ki bhi phir dushmani nahin hogi
main ek din koi taswir bhi banaunga
ye aur baat ki wo aap ki nahin hogi
main is liye teri aankhon ko sath rakhta hun
main jaanta hun wahan raushni nahin hogi
ye zindagi kisi bichhDe ka gham manate hue
bas ek lamhe se zyaada ruki nahin hogi
hamare jism ki duniya KHizan-rasida hai
tumhaare chhune se kya ye hari nahin hogi
wo jis ki aankh mein ab tak mashaal zinda hai
wo man to T-V bhi ab dekhti nahin hogi
yahan siyasat-o-mazhab pe jang hogi faqat
meri zamin pe ab shairi nahin hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.